Qaidi Hai Bimar Noha | Lyrics Noha | Ameer Hasan Aamir | Hindi Lyrics Noha 2023
Dekh kar bekasi bhatije ki,
boli roo roo ke zainab-e-lachar,
ab na barsao pusht par koode,
marna jaaye kahin mera bimar.
-------------------------------------
Qaidi Hai Bimar (x4)
Qaidi Hai Bimar (x4)
------------------------------------------
Har lamha koodon ki aziyat,
durron ki uftaad,
haay mere bimar ki gurbat,
kisse kare faryaad,
haay kisse kare faryad (x2)
sab raste kaaton se bhare hai,
chalna hai dushwar.
-------------------------------------
Qaidi Hai Bimar (x4)
------------------------------------------
Tauqe garahn hai gardan me,
aur pairoon me zanjir,
sar hai jhukaye sharm ke maare, ibn-e-shahe dilgeer,
haay ibn-e-shahe dilgeer (x2)
sath haram hai beparda,
aur sham ka hai bazar.
------------------------------------------
Qaidi Hai Bimar (x4)
------------------------------------------
Sabr kiye ayyub tumhare,
paas kahan tasvire,
dhup hai aise jalne lagi hai,
loohe ki zanjire,
haaye loohe ki zanjire (x2)
saare badan me pad gaye chaale,
haaye mera bimaaar.
------------------------------------------
Qaidi Hai Bimar (x4)
------------------------------------------
qaide sitam me maut jo aayi,
binte shahe muztar ko,
khoon bhare kurte me ye kehkar,
dafn kiya khwahar ko,
haaye dafn kiya khwahar ko(x2)
tujko kafan bhi de nahi sakta,
bhayi hai laachar.
------------------------------------------
Qaidi Hai Bimar (x4)
------------------------------------------
thaambh ke bedi waqte safar,
roo roo ke kaha maula ne,
kaise katega sham ka rasta,
ye to khuda hi jaane,
haay ye to khuda hi jaane(x2)
aisi hai kuch zarfo nadahat,
chalna hai dushwar.
------------------------------------------
Qaidi Hai Bimar (x4)
------------------------------------------
mumkin hai maula ne kaha ho,
laashe jari ke paas,
dekh sako to dekh lo uth kar,
mere chacha abbas,
haay mere chacha abbas (x2)
aap ka beta ban ke chala hai,
kunbe ka saalar.
------------------------------------------
Qaidi Hai Bimar (x4)
------------------------------------------
sharm muje khaye jaati hai,
kash abhi mar jaaun,
is manzar ko dekh saku,
taab kahan se laaun,
haay taab kahan se laaun(x2)
be parda hai maa behne,
aur sham ka hai darbaar.
------------------------------------------
Qaidi Hai Bimar (x4)
------------------------------------------
sham ke jaanib kaise chali thi,
paigambar ki aal,
kaise padega Aamir usko,
kaise likhun mai Bilal.
haay kaise likhun mai bilal(x2)
aage aage naize par tha,
farte shahe abraar.
------------------------------------------
Qaidi Hai Bimar (x4)
Share.....now👆