Ahsantum Ya Hussain Noha Lyrics | Ameer Hasan Amir | New Nohay Lyrics 2025| Ahsantum Ya Hussain Noha Lyrics 2025|1447H
LYRICS:-
Neeze pe gaye jab Shah-e-Umam Sar peet rahe the Ahl-e-Haram Sadat mein ek bezaari thi Kohraam tha aur gham-khwaari thi Jab Shah ne yeh manzar dekha Sar peet rahe hain Aal-e-Aba Shabbir ne parh ke Bismillah Bar nok-e-sinaan Qur'an padha
Kuch der mein phir manzar badla Kam hone lagi maatam ki sadaa Khush rang fizaaen chhaane lageen Ahsan ki sadaaen aane lageen Pohanchi jo falak tak Shah ki sadaa Allah ne bhi khush ho ke kaha:
Ahsantum ya Hussain, ahsantum ya Hussain, ahsantum ya Hussain, ahsantum ya Hussain
Arwah mein jo waada tha, kiya woh tumne nibhaaya hai
Islam ki khaatir jangal mein, ghar apna lutaaya hai Raazi hoon main tujh se mere wali Ae ibn-e-Batool, ae ibn-e-Ali Karta hoon main tera shukr ada
Ahsantum ya Hussain, ahsantum ya Hussain
Sunkar yeh sukhan Allah ke, kehte the yeh Rasool Allah Qurbaan main tujh par sau jaan se, waah mere Hussaina waah Bachpan mein ae mere lakht-e-jigar Waada jo kiya tha ae dilbar Woh tumne kiya hai aaj wafa
Ahsantum ya Hussain, ahsantum ya Hussain
Neeze ki ani par aa kar bhi, Qur'an sunaya hai Hum jeet gaye sar de kar bhi, duniya ko bataya hai Dekhi jo shuja'at bete ki Aur sunkar tilaawat bete ki Haider ki Najaf se aayi sadaa
Ahsantum ya Hussain, ahsantum ya Hussain
Zahra ne kaha ae laal tujhe tanha na karungi main Jaayega agar tu Shaam talak, to saath chalungi main Hai naaz bohot tujh par beta Jo sheer pilaaya tha us ka Kya khoob kiya hai farz ada
Ahsantum ya Hussain, ahsantum ya Hussain
Kya khoob fareeza ae bhai, anjaam diya tumne Jo kaam na koi kar paata, woh kaam kiya tumne Shabbir se kehte the yeh Hasan Bas ab na karo tum ranj-o-mihan Hai zaat tumhaari fakhr-e-Khuda
Ahsantum ya Hussain, ahsantum ya Hussain
Abbas dilawar, Aun-o-Muhammad, Qasim-o-Akbar hain
Neezon pe sar-e-Shabbir ke sang, shuhadaa ke katay sar hain Aankhon se rawaan hain ashk magar Hai saare shaheedon ke lab par Hum aap pe hon har baar fidaa
Ahsantum ya Hussain, ahsantum ya Hussain
Kehte thee zameen-e-Karb-o-Bala, gumnaam zameen thi main Lagta tha Kumail-o-Aamir, duniya pe nahin thi main Pehchaan dilaayi Sarwar ne Kya shaan badhaayi Sarwar ne Ta hashr yahi hai meri sadaa
Ahsantum ya Hussain, ahsantum ya Hussain
#ahsantumyahussain #ameerhasanamir #newnohalyrics #2025 #1447H