Bismillah, Ya Aba ABDILLAH | New Noha Lyrics 2024 | Ameer Hasan Amir

Bismillah, Ya Aba ABDILLAH | New Noha Lyrics 2024 | Ameer Hasan Amir

Hussain Bismillah...

Neza seene se nikalne ki jo baari aayi 

Shaah par haaye museebat bhi yeh bhaari aayi. Arsh se farsh pe nabiiyon ki sawaari aayi, 

Roti sar peet-ti Ahmed ki dulaari aayi


Aasteen ulte hue Shah-e-Huda baithe the, 

Haath kandhe pe dhare Sher-e-Khuda kehte the:


"Kheench le seene se barchhi ki ani, 

Bismillah. 

Ya Aba Abdillah...


Ro ke kehte the yeh bete se Ali, 

Bismillah, 

Ya Aba Abdillah.....

===========

1). Ek mahshar hai malaaik mein sabhi rote hain, Tere pehlu mein Rasool-e-Arabi rote hain.

Daad dete hain Ibrahim nabi, 

Bismillah. 

Ae Aba Abdillah...


Kheench le seene se barchhi ki ani, 

Bismillah. 

Ya Aba Abdillah...

===========


2). Tu mera laal hai yeh sabko bata de beta,

Baap ke khoon ki taseer dikha de beta.

Haath larze na tera mere jari, 

Bismillah.

Ya Aba Abdillah...


Kheench le seene se barchhi ki ani, 

Bismillah. 

Ya Aba Abdillah...

===========


3). Ae mere laal, akela tu nahi jangal mein, Ambiya auliya hain, bhai Hasan maqtal mein. 

Teri maan Fatimah Zahra hain khadi, 

Bismillah.

Ya Aba Abdillah...


Kheench le seene se barchhi ki ani, 

Bismillah. 

Ya Aba Abdillah...

===========


4). Wada Tifli ka kiya tha jo ada kar beta, 

Ro le Akbar ko kaleje se laga kar beta. 

Thaam le seene ko, padh Nad-e-Ali, 

Bismillah.

Ya Aba Abdillah...


Kheench le seene se barchhi ki ani, 

Bismillah. 

Ya Aba Abdillah...

===========


5). Sher zakhmi hai yeh jangal mein pada dekh na le, 

Neza Akbar ke kaleje mein gara dekh na le 

Roti sar peet-ti Zainab hai chali, 

Bismillah.

Ya Aba Abdillah...


Kheench le seene se barchhi ki ani, 

Bismillah. 

Ya Aba Abdillah...

===========


6). Lashe ghar bhar ki hain kandhe pe uthaye tune, 

Shane Abbas ke seene se lagaaye tune. 

Imtihaan aur yeh khanjar ka sahi 

Bismillah.

Ya Aba Abdillah...


Kheench le seene se barchhi ki ani, 

Bismillah. 

Ya Aba Abdillah...

===========


7). Ae mere laal, na kar der, taqaddum waladi, Warna ho jayega andher, taqaddum waladi.

Jald aasan ho mushkil ki ghadi, 

Bismillah.

Ya Aba Abdillah...


Kheench le seene se barchhi ki ani, 

Bismillah. 

Ya Aba Abdillah...

===========


8). Mujhko maloom hai duniya se safar karta hai, Samne aankhon ke ek laal jawan marta hai. 

Hoti hai seene mein takleef badi, 

Bismillah.

Ya aba Abdillah...


Kheench le seene se barchhi ki ani, 

Bismillah. 

Ya Aba Abdillah...

===========


9). Neza seene se joonehi Shah ne nikala Aamir, Ho gaya sabka kaleja teh o baala Aamir. 

Aini kehta raha woh Rab ka wali, 

Bismillah.

Ya Aba Abdillah...


Kheench le seene se barchhi ki ani, 

Bismillah. 

Ya Aba Abdillah...

===========



Post a Comment

Previous Post Next Post