Ghazi alambardar maula
Ghazi almbardar...
Saniye Haider tu hai maula
Ghazi almbardar...
===========
Kahti thi rokar Bali sakina
Payasi hai ammu Teri hazina...(1)
Rona hai dushwar
Ghazi almbardar...
===========
Karbobal ke ban me hai luta
Sukha gala baba ka bhi kata...(1)
Kaise kare didar
Ghazi almbardar...
===========
Khichi Jo barchi nikla kaleja
Khoon ka fauwara hai nikla...(1)
Haye shahe abrar
Ghazi almbardar...
===========
Sehrae qasim khoon se bhara hai
Qubra ke lab pe ye nauha hai...(1)
Haye mera sardar
Ghazi almbardar...
===========
Rah sabhi kato se bhari hai
Ro ro sakina ye kahti hai...(1)
Kaise chale gamkhar
Ghazi almbardar...
===========
Kaisi musibat ki ye ghadi hai
Naqe se bali sakina bandhi hai...(1)
Chalta hai rahwar
Ghazi almbardar...
===========
Kano se bali chin ke aada
Bacchi ko hai mare tamacha...(1)
Nile pade ruksar
Ghazi almbardar...
===========
Ayi qayamat ki ye ghadi hai
Ale nabi sar nange khadi hai...(1)
Sham ka hai Bazar
Ghazi almbardar...
===========
Shoyeb kalam hai asu bahaye
Tabish jab ye nauha sunaye...(1)
Rota raha bimar
Ghazi almbardar...
Tags:
Ghazi Alambardar