Ali Maulana Ali Noha Lyrics | Mesum Abbas | 2023 | 1445 | Noha Lyrics

Ali Maulana Ali Noha Lyrics | Mesum Abbas | 2023 | 1445 | Noha Lyrics

Ali Maulana Ali Noha Lyrics | Mesum Abbas | 1445 | 2023

Ali Ali Ali Ali...

Ali Maulana Ali...
============================
Ta Surat-o piwand-i jahan bud Ali bud 
Ta naqsh-i zamin bud zaman bud Ali bud Shahi ke wali budo wasi bud Ali bud 
Sultan-i sakha-o karam-o jud Ali bud 
Hum Adam-o hum Shish-o hum Idris-o hum Ayub 
Hum Yusuf-o hum Yunus-o hum Hud Ali bud 
Ham Musa-o ham Issa-o ham Khizr-o ham Ilyas 
Ham Salihe Paygambar-o Daud Ali bud

Taaro'n Ne Abhi Ankh Na Kholi'n Thi Ali Tha 
Na Am'n Ka Paigham Na Holi Thi Ali Tha Data Tha Duaien Thi Na Jholi Thi Ali Tha Khaliq Ki Zaban Kun Bhi Na Boli Thi Ali Tha
============================
Ali Mualana Ali...(4)
============================
Toote Dilo'n Ki Sada
Ali Mualana Ali 
Taaj e Wilayet Tera 
Ali Mualana Ali
Haq Ne Kiya Faisla
Gurd Mein Wo Jayega
Jo Bhi Muhib Hai Tera
============================
Ali Mualana Ali...(4)
============================
Anghusti Pe Darwaza Khyber Ko Utahle 
Jo Dobte Suraj Ko Ishare Se Bulale 
Tufaan Ka Rukh Phair Dai Mushkil Se Nikale 
Jab Chahe Jahan Chahe Jise Chahe Bacha Le 
Kul Emaan Hai Tu...(Ali Haider...2)
Rab Ki Pehchan Hai Tu...
Deen Ki Jaan Hai Tu...
============================
Ali Mualana Ali...(4)
============================
Teri Jo Fazilat Hai Woh Afsana Nahi Hai Munkir Hai Jise Teri Taraf Ana Nahi Hai 
Juz Zaar e Muhammad Koi Pehchana Nahi Hai 
Duniya Ne Tujhe Mana Magar Jana Nahi Hai Yeh Tera Jah o Hasham 
Sahib e Taig o Dum 
Hai Tera Sab Pe Karam
============================
Ali Mualana Ali...(4)
============================
Tu Sab Se Bari Khaliq e Akbar Ki Nishani 
Na Uska Hai Sani Na Tera Koi Sani 
Kehte Hain Yeh Quran Ke Tafseer o Mani Duniya Ne Abhi Teri Haqeeqat Nahi Jani Ayatullah Bhi Tu 
Wajhullah Bhi Tu 
Asadullah Bhi Tu
============================
Ali Mualana Ali...(4)
============================
Hum Tere Muqalid Hai Tu Hi Rehbar e Azam 
Hai Noor Tera Noor Khuda Wand Do Aalam 
Ek Bhai Muhammad Hai Tera Noor e Mujassam 
Jhutlaye Meri Baat Ko Kis Mein Hai Bhala Dam 
Hai Tu Hi Aalaa Nasb 
Sher Haq Tera Laqab 
Keh Rahe Hain Yahi Sab
============================
Ali Mualana Ali...(4)
============================
Doobte Suraj Ne Kaha...(Ali)
Chand Sitaron Ne Kaha 
Lal Qalandar Ne Kaha 
Tere Liye Hamd o sana

Na Nooh Thay Na Un Ka Safina 
Tha Ali Tha 
Yasrab Tha Na Makka Na Madina 
Tha Ali Tha 
Abid Na Ibadat Ka Qareena 
Tha Ali Tha 
Jis Waqt Yeh Marna Tha Na Jeena 
Tha Na Ali Tha
============================
Ali Mualana Ali...(4)
============================
Taskeen e Dil o Jaan To Ibadat Se Mile Gi Tasdeeq Ibadat Ko Muwaddat Se Mile Gi Sajdo'n Ko Sanad Teri Wilayat Se Mile Gi Tauheed Hame Teri Muhabbat Se Mile Gi 
Jo Tujhe Maane Khuda 
Woh Bhi Munkir Hai Tera 
Yeh Aqeeda Hai Mera
============================
Ali Mualana Ali...(4)
============================
Parhta Hu Teri Shaan Mein Quran Qaseede 
Alhamd Se Walnaas Talak Hai Tere Charche 
Quran ki Tilawat Se Khule Raaz Ye Saare Wlfjr Bhi Walshams Bhi Wallail Bhi Tu Hai 
Aql Main Ata Nahi 
Qalb Se Jata Nahi 
Kya Hai Samajh Ata Nahi
============================
Ali Mualana Ali...(4)
============================
Juz Tere Kiya Jis Ne Saloni Ka Yeh Daawa 
Jo Pochna Chaho Ge Jawab Uska Milega Hathon Ki Hateli Ki Tarah Se Hai Yeh Duniya 
Main Hota Tere Daur Main Tu Poch Hi Leta 
Kun Faya Kun Ka Safar 
Yeh Sitaro Ka Nagar 
Kya Hai Yeh Shams o Qamar
============================
Ali Mualana Ali...(4)
============================
Ummat Ne Tere Baad Yateemo Ko Sataya Moula Teri Aulaad Ko Hai Khoon Rulaya 
Ek Piyase Musafir Ka Lahu Ban Mein Bahaya 
Zainab Ki Rida Loot Ke Khaimo Ko Jalaya 
Roeti Thi Karb o Bala 
Aaeye Sher e Khuda 
Lut Gai Ale Aba
============================
Ali Mualana Ali...(4)
============================
Jab Sham e Ghareeba'n Ki Rida Dasht Pe Chai 
Ghazi Ki Behan Ranj o Masaib Ki Satai 
Ek Toota Huwa Neza Liye Pehre Pe Aai Hathon Se Jigr Tham Ke Deti Thi Duhai 
Cheen Gai Meri Rida 
Bhai Bhi Qatl Huwa 
Aaiye Karbabola
============================
Ali Mualana Ali...(4)
============================
Kehte Hai Zamane Se Yahi Mesum o Mazhar 
Hum Haider e Karrar Ki Dehleez Ke Naukar 
Rehti Hai Hama Waqt Sada Ek Ke Labo'n Par 
Is Dr Se Bara Saare Zamane Main Nahi Dar 
Malik e Kono Makaa;n 
Saat Pardo'n Mein Niha 
Hai Aqeedat Ki Azaan
============================
Ali Mualana Ali...(4)
============================

Ali Haidar, Ali Haidar, Ali Haidar, Haidar

Ali Maulana Ali Noha Lyrics


Post a Comment

Previous Post Next Post