Labbaik Ya Hussain | KHURSHID ALI MONIS OFFICIAL | Noha Lyrics

Labbaik Ya Hussain | KHURSHID ALI MONIS OFFICIAL | Noha Lyrics

NOHA LYRICS.

LABBAIK YA HUSSAIN(A.S)

Labbaik Ya Hussain (a.s) (2x) 
Labbaik Ya Hussain(a.s) ka naara lagaayenge Hai kiske dum se baaqi azaane bataayenge Labbaik Labbaik 
Labbaik Ya Hussain (a.s) (3x) 
Labbaik Ya Aba Abdillah (a.s) (6x)

(1)....
Khwabe khaleele haque hai tabeer karbala Qoule Nabi(saww) hai deen toh tafseer karbala sab ambiya ki ban gayi takbeer Karbala 
Hai la ilah ki bolti tasveer Karbala 
Tasveer karbala ko dilon me sajaayenge

(2)....
Jisne hamare deen wa emaan ke liye 
Insaaniyat ke waaste insaan ke liye 
Qoule Nabi(saww) ke waaste quraan ke liye 
Har shai luta di marziye Rahman ke liye 
uss mohsine azeem ka hum gham manaayenge

(3)....
Ashke ghame hussain(a.s) se aankhon ko karke nam 
Hukme khuda ke saamne sar apna karke kham Sarwar(a.s) ke zikro fikr ko paikar me karke zam Haathon me leke hazrate Abbas(a.s) ka alam Hum Joun Hur Habib ka jazba dikhaayenge

(4)....
Azmo sebaato jur'ate guftaar ka sabaque Karbal se humne seekha hai esaar ka sabaque Wirde zabaan hai shaah ke ansaar ka sabaque Rakhte hain yaad meesame tammaar ka sabaque 
Hum daar se bhi zikre shahe deen sunaayenge

(5)....
Dil me basaake jazbaye esaaro aagahi 
Roohe ajal pe sabt karenge woh zindagi 
Jiski har ek saans me hoga Ali Ali (as) 
Aankhon me bharke matame shabbir(a.s) ki nami 
Hum tashnagiye fatema zahra(s.a) bujhaayenge

.....Tu shaane hal ataa.....
.....Tu fakhre Innama...... 
.....Tu aayate khuda......... 
.....Tu raaze kibriya.......... 
.....Tu Deen ki baqaa........ 
..... Tu jaane kul kafaa...... 
..... Tu haadiye safaa........ 
..... Tu hubbe Mustafa.......
.....Tu naqshe la ilah........ 
Halmin ki uss sadaa se na daaman bachaayenge

(6)....
Gar chahte ho zulm ho maadoom har jagah Mehfooz zaalimon se ho mazloom har jagah 
Mit jaaye gham na ho koi maghmoom har jagah To fikre shaahe deen ho maqsoom har jagah Fikre Hussain(a.s) saare jahan ko batayenge

(7))....
Haa maqsade Hussain(a.s) ki tashheer ke liye Aqdaare karbala teri tafseer ke liye 
Yaani nifaze naraye takbeer ke liye 
Aamada apne halque hai shamsheer ke liye Badhte huye qadam ko na peeche hataayenge

(8)....
Sabro Reza o shukr ke paikar ka tazkera Insaaniyat ke mohsine Akbar ka tazkera 
Zaate khuda ke aashiqon khugar ka tazkera 
Kar karke hum Hussain(a.s) ke lashkar ka tazkera 
Khwabidah zehniyat ko jagaate hi jaayenge

..... Tu Deen ki amaan.....
..... Tu haadiye jahan.......
.....Tu mustafa ki jaan.... 
.....Tu naatiqe quraan......
......Tu haque ka tarjumaan.....
.......Tu sarware jinaan......
.......Tu ambiyaa ki shaan.....
.....Tu ishque ka nishaan.....
........Tu nafse itmenaan........
Halmin ki uss sadaa se na daaman bachaayenge

(9)....
Karbobala ka naara hai islaam Zindabaad 
Allah ke rasool(saww) ka paighaam Zindabaad Monis quraane paak ke ahkaam Zindabaad Kehkar Zaki hussain(a.s) ka har kaam Zindabaad 
Labbaik Ya Hussain ka naara lagaayenge.

SHUKRAN MOULA(A.S)..



(KHURSHID ALI MONIS OFFICIAL)
https://YouTube.com/@allvideosfz Subscribe Now 

Post a Comment

Previous Post Next Post