Alam Abbas Ka
LYRICS:
Aye Logo'n Aao Tumko Batau'n Rehmat E Baari Tumko Dikhau'n
Saare Jahaan Ka Hai Ek Sahara Ye Jo ALAM Mere Ghar Pe Laga Hai
Ye Hai ALAM ABBAS KA Ye Hai ALAM ABBAS KA
Ghum Se Nikaale, Mushkilein Taale Kaisa Wasila RAB Ne Diya
Ye Hai ALAM ABBAS KA
1). Hum Ne Alam Jab Ghar Mein Sajaya, Ghar Mein Rakhe ZEHRA Ne Qadam Door Huye Sab Ranj O Masayeb, Phir Kaisi Mushkil Jiska Koi Saani Na Mila
Kaisa Ghum
Daste Karam Hai, SHEH Ka Bharam Hai
2). Ye Jo Bandhi Hai Mashk E SAKINA, Isko Kaho
Taweez E Wafa Rishta Bhatiji Aur Chacha Ka, Aaj Talak Na Toot Saka
Ek Kahani, Iski Zabani Sun Lo Agar Sunte Ho Sada
3). Dekho ALAM Ka Surkh Pharehra, Chadar E ZAINAB
Se Hai Bana
Jo Bhi ALAM Ke Saaye Mein Aya, Duniya Ke Sab
Ghum Bhool Gaya
Ab Jaake Mana, Sara Zamana Saya Fighan Ghar Ghar Pe Hua
4). Aisa ALAM Duniya Mein Dikhao, Jiski Ata Ho Rab
Ki Ata
Shaan E Azadari Ye Alam Hai, Dekho Azakhano Mein
Zara
Mannatain Puri, Karta Hai Sabki Zinda Hai Iske Dam Se Wafa
Haan......
5). HAMZA O JAFAR Ka Ye ALAM Hai, Hai Ye ALAM
HAIDAR Ka ALAM
Denge Gawahi SHAH E ZAMAN Bhi, Hai Ye Mere Lashkar Ka ALAM
Baarwa (12wa) HAIDAR, KAABE Ki Chhat Par Lehra Ke Isko Dega Sada
Hayee....
6). Qatl Hua Jab Dariya Pe GHAZI, Toot Gayi MAULA
Ki Kamar
Laasha Nahi SHEH Laye JARI Ka, Laye ALAM Hi
Khoon Mein Tar
Beti Se Bole, SHABBIR Roke
Aye Nahi Dariya Se Chacha
7). Karbobala Ke Dasht Ka Manzar, Kaise Likhu Rota
Hai Qalam
Bad E JARI Aulaad E PAYAMBAR, Nauhakuna Thi Zer E
ALAM
Baali SAKINA, Karti Thi Noha
Saaye Mein Iske Aaye Qaza
8). Panja ALAM Ka MESUM O MAZHAR, Daste Karam
ABBAS Ka Hai
Paal Raha Hai Saare Jahan Ko, Ye Bhi Hasham Abbas
Ka Hai
Jisne Jo Manga, Usne Wo Paya
Phir To Zamane Ko Kehna Para
Ye Hai ALAM ABBAS KA
Ye Hai ALAM ABBAS KA